God’s Gift

 Imagine that you’re shopping with someone you love. Not just someone you love, since love lately is a widely used term, someone you’re madly in love with.

Someone jiske saath ke har cheez aap khud ki jaan se bhi zyaada pass rakhte hain. Someone jiske saath aapke kaise bhi rishte ho, aapka dil aur mann chahe jitne bhi dukh aur gusse se guzar rha ho, unka soch ke, unke shakal dekh ke chehre pe khud ek muskaan aa jaati hai.. hothoon ke do koone jaise ek doosre se door hote hai, mano saare dukh bhi waise hi door ho jaata hai..

Assume this person picks something for you.. something in a particular style or color.. how would you feel about it?

You’ll cherish it simply because of who gave it to you, simply because of who picked it out for you..

God picks certain things for us.. things, events, people.. uss waqt mann ek ajeeb do raha pe hota hai.. ek taraf yeh sher yaad aata hai ‘ki khud ko kar itna buland, ki khuda tujhse pooche bta teri raza kya hai’.. Aur doosri taraf yeh ki ‘mera accha sochne waale hain, Shayad yeh woh dekh pa rhe hain jo main nhi dekh pa rhi’..

Sufism mein mante hai ki insaan ki zindagi mein kayi insaan aayenge, inse dil lagaya toh dil tootne ka gham sehna hoga.. lekin agar uss khuda se ishq kiya toh har cheez mein sirf khushi milege.. har cheez uski marzi samjhke mante jaayenge jaise apne jaan, apne mehboob ki har baat mante hai.. iss kashmakash se hi nikalna asaan nhi..shayad tabhi mohobbat faisle aasan kar deti hai 

Mohobbat har waqt koi naya aur alag sabak sikhati hai.. jab aapko apne mehboob ki har cheez se mohibbat ho.. no matter what it is.. all that matters to you is ki unka ark hai uss cheez mein.. arre ek bejaan phool, ek Kore kagaz pe siyahi ki kuch kheeche lakeerein, ek Khusboo.. yeh sab unse hai.. yeh jalan, yeh irsha, yeh aag, yeh tadap, yeh gussa aur unse milli nafrat bhi bahut bemole hai.. unse kuch na milne yeh toh bahut behtar hai.. agar ruswai bhi mile.. toh unse mili


Comments

Popular Posts